Mobile ke dwara aapne students se aur uoonke parents se sampark kar DIGI SATH ke content par chacha kiya. Iske alawa bachchon se mobile ke WhatsApp group ke dwara class based subject se sambandhit vishayon par students Nirantar charha kiya. 

Comments

  1. Shailbala Kumari KGBV Jamua

    Iss kahani se hamain yah samaj aaya ki vidyalay main bhi bhinna bhinna prakar ke bachhe hote hain. Jinke alag alag gun aur chamtain hoti hain. Hamain Uoonhain uoonke guno aur chamtaon ko dekh kar, samajh kar hi sikshan Karana chahiye. Aisa Na karne se bachchon ki khud ki pratibha bhi khatm ho sakti hai aur wai Vidhyalay chord bhi sakte hain. Jaisa ki kahani main varnit kiya gaya hai.

    ReplyDelete
  2. Mental aur emotional health ke liye bahut jaruri hai physical fitness. Isliye main swayam aur bachchon ko physically fit rakhne ka prayash karta rahta hoon.

    ReplyDelete
  3. Mental aur emotional health ke liye bahut jaruri hai physical fitness. Isliye main swayam aur bachchon ko physically fit rakhne ka prayash karte rahti hoon.

    ReplyDelete
  4. Main aak social science ki teacher hoon. Mere pas B.Ed ki degree hai. Main apne subject ki shiksha aapne bachhon ko achhe dhang se de sakti hoon.

    ReplyDelete
  5. Bachchon ke liye sikhna aur Sikshikaon ke liye sikhana Siksha ki aak mahatwapurna prakriya hai.
    ICT ke dwara bachchon main sikhane ki kshamta behtar hoti hai kyonki Iske (mct) dwara bachhe Multisensory (visual, auditory, kinesthetic and tactical stimulus) learning ka experience karte hain.

    ReplyDelete
  6. Samajik Vigyan Subject ke learning/Adhigam prakriya main sikshak ka aak mahatwapurna uoodeshya yah bhi hai ki wah chhatraon ko Gender ke vishay main mahatwapurna drishti pradan kare.
    Gender ke vishay main chhatraon ko saksham karne ki drishti se Gender ke sandarbh main vivibhidhta ko sweekar karna aur uooska samman karna tatha sabhi vyaktiyon ko saman rup se dekhna mahatwapurna drishti hai.

    ReplyDelete
  7. Barish ka mousam bahut hi suhana hota hai. Samanyatah yah Sawan ke mahine main iski suruat hoti hai. Barish ke samay chote chote gadhhe paniyon se bhar jate hain. Inhi gadhon main bhare huai paniyon main kud kud kar aur aapne sathiyon ke bich aak dusre par pani uoodhelkar bahut hi maja aata tha.

    ReplyDelete
  8. Ananya vishayon ke sath jab hum kala ka aakikaran kar chhatraon ka a Adhigam karate hain tab yah sikshan aur Adhigam prakriya main bahut hi labhkari hota hai.

    ReplyDelete
  9. Dono hi main samanta hai Kintu rajya ka pathyakram kendra se kuch bhinn hai.
    Dono ka pratifal sikhane se prerit hai.

    ReplyDelete
  10. Sikhane ki prakriya main sabhi prakar ka sikshan / Prashikshan Vyaktigat ya Samuhik star se diya ja sakta hai tatha Aaklan ke liye Rubric module ka uoopyog kiya ja sakta hai.

    ReplyDelete
  11. Paryavaran Adhyyan aak subject nahi apitu Paryavaran ko janne samajhne ka aak approach hai. Class 1-2 main yah Bhasha aur Ganit ke madhyam se tatha class 3-5 taak isse Vigyan, Samajik Vigyan aur EVS ke rup main yani Aikikrit rup main pardaya jata hai. Aikikrit rup main Paryavaran ka Adhyyan prakritik aur samajik - sanskritik vatavaran ke sambandh main jagruk aur saksham hona hai. NCERT dwara class 3-5 taak paryavaran adhyyan ke pathyakram ko aikikrit swarup pradan karne ke liye 6(six) vishay kshetron (pariwar aur mitra, bhojan, awaz, pani, yatra aur chijain Jo hum banate aur karte hain) ki pahchan ki hain.
    Paryavaran Adhyyan vishay kshetra ka aikikrit uoodhahran Iss prakar ho sakta hai
    Uoodhahran ke liye ham Bhojan theam ko le sakte hain. Jaise bhojan kaise banta hai (Vigyan), bhojan kon banata hai (samajik vigyan) aur bache huai bhojan ka niptan kis prakar kiya jay (EVS) ke sammilit hone se aikikrit adhyapan kaha ja sakta hai.

    ReplyDelete
  12. Paryavaran Adhyyan aak subject nahi apitu Paryavaran ko janne samajhne ka aak approach hai. Class 1-2 main yah Bhasha aur Ganit ke madhyam se tatha class 3-5 taak isse Vigyan, Samajik Vigyan aur EVS ke rup main yani Aikikrit rup main pardaya jata hai. Aikikrit rup main Paryavaran ka Adhyyan prakritik aur samajik - sanskritik vatavaran ke sambandh main jagruk aur saksham hona hai. NCERT dwara class 3-5 taak paryavaran adhyyan ke pathyakram ko aikikrit swarup pradan karne ke liye 6(six) vishay kshetron (pariwar aur mitra, bhojan, awaz, pani, yatra aur chijain Jo hum banate aur karte hain) ki pahchan ki hain.
    Paryavaran Adhyyan vishay kshetra ka aikikrit uoodhahran Iss prakar ho sakta hai
    Uoodhahran ke liye ham Bhojan theam ko le sakte hain. Jaise bhojan kaise banta hai (Vigyan), bhojan kon banata hai (samajik vigyan) aur bache huai bhojan ka niptan kis prakar kiya jay (EVS) ke sammilit hone se aikikrit adhyapan kaha ja sakta hai.

    ReplyDelete
  13. Theam Jal
    Aikikrit approach
    Science +social science +EVS
    Science : vaigyanik sidhant aur prakriyain. Jal ka rang swad aur gandh pata karna. Prayog aur anveshan : jal main kya dubta hai aur kya nahi
    Pariyojna : mata - pita ke samay aur vartman samay main jal ki uooplabdhta ki tulna karna.
    Anubhav sajha karna : ghar main jal kaise milta hai
    Samajik - sanskritik pahlu : Kshetron, dharmon aur Riti - riwazon main jal ki bhumika.
    EVS approach : Jal sanrakshan
    Jal ke apvyay ke kshrot
    Aaklan : Rubric pattern
    Prashnn karna
    Uoottar prapt karna
    Report tayyar karna
    Nishkarsh nikalna

    ReplyDelete
  14. Bachhon ko paper ya blackboard par samasya ka samadhan kar ke dikhayenge.

    ReplyDelete
  15. Bachhon ko sthaniya maan ka gyan nahi hai.
    Bachhon ko sthaniya maan ka gyan karana hoga.

    ReplyDelete
  16. Karona ka kal (2020) bahut hi bhayavah tha. School, college, khet khali han factories aur dukane sabhi band ho chuke thai. Log behal aur pareshan thai. Mout ka shilshla jari tha.

    Lekin lock down ne aur PM Narendra Modi ji ke dwara chalwaye gaye rahat karyakram (Har garib pariwar ko prati vyakti 5 Kilo Anaj awam nagada 500 rupye ka vitaran ) se desh sankat se bahut had tak uoober chuka hai.
    Varsh 2021 main aasha hai ki swadwsi Korona Vaccine ke dwara desh corona sankat se puri tarah se mukt ho jayega.

    ReplyDelete

Post a Comment